ye tan jo hai har ek ke utare ka jhonpada is se hai ab bhi sab ke sahaare ka jhonpada is se hai baadshah ke nazare ka jhonpada is mein hi hai faqir bichaare ka jhonpada apna na mol ka na ijare ka jhonpada baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpada is mein hi bhole-bhaale isi mein siyane hain is mein hi hoshiyar isi mein diwane hain is mein hi dushman is mein hi apne begane hain sha-jhonpada bhi apne isi mein namane hain apna na mol hai na ijare ka jhonpada baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpada is mein hi log ishq-o-mohabbat ke mare hain is mein hi shokh husn ke chand aur sitare hain is mein hi yar-dost isi mein piyare hain sha-jhonpada bhi apne isi mein bichaare hain apna na mol hai na ijare ka jhonpada baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpada is mein hi ahl-e-daulat-o-munim amir hain is mein hi rahte sare jahan ke faqir hain is mein hi shah aur isi mein wazir hain is mein hi hain saghir isi mein kabir hain itna na mol ka na ijare ka jhonpada baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpada is mein hi chor-thag hain isi mein amol hain is mein hi roni shakl isi mein thithol hain is mein hi baje aur naqare-o-dhol hain sha-jhonpada bhi is mein hi karte kalol hain itna na mol ka na ijare ka jhonpada baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpada is mein hi parsa hain isi mein tawand hain bedard bhi isi mein hai aur dardmand hain is mein hi sab parand isi mein charand hain sha-jhonpada bhi ab isi dar be band hain itna na mol ka na ijare ka jhonpada baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpada is jhonpade mein rahte hain sab shah aur wazir is mein wakil bakhshi o mutasaddi aur amir is mein hi sab gharib hain is mein hi sab faqir sha-jhonpada jo kahte hain sach hai miyan 'nazir' itna na mol ka na ijare ka jhonpada baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpada