han dekha kal hum ne us ko dekhne ka jise arman tha wo jo apne shahr se aage qarya-e-bagh-o-bahaaran tha soch raha hun jang se pahle, jhulsi si is basti mein kaisa kaisa ghar ka malik, kaisa kaisa mehman tha sab galiyon mein taranjan the aur har taranjan mein sakhiyan thin sab ke ji mein aane wali kal ka shauq-e-farawan tha melon thelon bajon gajon baraaton ki dhumen thin aaj koi dekhe to samjhe, ye to sada bayaban tha chaaron jaanib thande chulhe, ujde ujde aangan hain warna har ghar mein the kamre, har kamre mein saman tha ujli aur pur-nur shabihen roz namaz ko aati thin masjid ke in taqon mein bhi kya kya diya farozan tha ujdi mandi, laghar kutte, tute khambe khali khet kya is nahr ke pul ke aage aisa shahr-e-khamoshan tha aaj ki ek roti ki khatir card dikhata phirta hai pure kamp ko roti de de aisa aisa dahqan tha tab nahin har ek se puchhen baba tujh par kya guzri ek ko rok ke puchha hum ne, sina us ka baryan tha bola log to aaen jaen basti ko phir basna hai mere tinkon ki khatir aaya sara tufan tha aag ke andar aur tapish hai, aag ke bahar aur hi aanch shayad koi diwana hoga be-shak chaak-gireban tha