sham suhani surmai baadal wadi mein utar kar sargoshi karte hain tez hawaen phulon patton ka munh shokhi se chum rahi hain dharti ka zarra zarra damak raha hai kis ko aana hai kaun aaega tum ne apni sanson ke dhage jis se bandh rakhe hain wo to nahin aaega wo khud-sar hai us ki ana us ke qadmon ki zanjir bani hai kitne aansu aur bahaogi tum kuchh bhi kar lo sab la-hasil kyunki tum man ho apne bete ki khushiyon ki khatir khud ko khush karne ki khatir apni ana ke parcham ko us ke qadmon mein la dalo apni mamta ki thandak ke liye apne bete ki jaanib se apne aap se kah do man tum kah do to qadmon mein tumhaare gir jaun han pagli aise bhi jite hain jina to isi ko kahte hain