ye sach hai mah-ru sach hai wo maktub-e-mohabbat kal jo mere nam se tum ko mila main ne hi likkha tha ki jab betabi-e-dil had se badh jae aur izhaar-e-tamanna ru-ba-ru karne mein mushkil ho to aisi koi laghzish ho hi jati hai bahut majbur tha main dil ke hathon jis samay kuchh soche-samjhe bin tumhaare nam main ne nama likh bheja kai ek aisi baaten thin ki jin par ghaur lazim tha kai khadshat aise the kahin ye khat tumhaari aur meri ruswai ka bais na ban jae kahin aisa na ho ye khat tumhaari tab-e-nazuk par giran guzre kahin aisa na ho tum mere lafzon ko hansi jaano kahin aisa na ho tum khat ko khole bin hi nazr-e-khak-dan kar do magar phir bhi tumhein khat bhejne se peshtar main ne na kuchh socha na kuchh samjha mujhe ehsas hai jaanan ki laghzish ho gai mujh se meri tum se guzarish hai ye laghzish darguzar kar do ki chahat mein kabhi ai jaan aisi koi laghzish ho hi jati hai