justuju

tumhaari khamosh sulagti sanson mein
apne wajud ka ehsas dhundhta rahta hun

main aaj-kal
wo sansen jin ki har unch-nich mein

mere nam ka aahang tha
wo sansen jo tumhaare bechain dhadakte dil

se mutmain
mere nam ka tawaf karti thin

jin ki har ek aahat mein mera nam gunjta tha
aaj un sanson mein

wo jo meri sansen thin na
un mein

mujhe apne wajud ka ehsas nahin mil raha
kya main adam ho chuka hun

ho chuka hun
itna betab hun main

itna bechain hun main
ki meri aankhon se ashk

qatar-dar-qatar
bahte hain

aur zamin par se rengte hue
tumhaari sanson mein

mere wajud ke ehsas
ki justuju mein

nikal padte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close