rangon mein wo baat nahin hai aur hunar bhi aajiz hai kaun banaega taswiren jab aankhon mein khwab nahin ashkon mein wo zor nahin hai dil mein waisi tab nahin kab se rasta dekh rahe hain dekhne wale hasrat se ek musawwir aaega jo dard ke rang jagaega in khwabida rangon mein wo dil ka nur milaega phir taswiren bolengi aur dad hunar ki paengi ya phir aib ki tohmat le kar be-qimat bik jaengi