kabhi kabhi

apna aap yun mahsus hota hai
ki jaise

dur sahil par baithi ek tanha ladki
jo

apne tamam khwabon ko
pyare pyare sundar sundar jazbon ko

apni mutthi mein qaid kar lena chahti ho
magar phir

jab us ke band hathon se
ret dhire dhire se

samundar ki taraf wapas laut jati hai
to yun mahsus hota hai

ki
jaise

us ke sare khwab
sundar sundar sare jazbe

aahista aahista us ki
jhil si aankhon se bah rahe ho

aur
samundar se gale mil rahe ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close