dur kahin dariya ke kinare rahte the do dost pyare ek tha kawwa ek kabutar khate pite the wo mil kar ek din un ki shamat aai donon mein hui khub ladai pahle apne munh ko khola phir ghusse se kabutar bola kawwe hote hain kanjus kale bhadde aur manhus kan-kan shor machate hain sara din sar khate hain shor se main to darta hun aur bas gun-gun karta hun mujh ko apne husn pe naz unchi hai meri parwaz kale ho kalute ho tum to bhains ke katte ho baat ye sun kar kawwa bola tu ne meri zat ko tola le ab meri bari hai jaanti duniya sari hai tu buzdil hai aur darpok baat kahunga main do-tuk jab koi billi aati hai jaan teri tab jati hai kanpta hai tharraata hai dar kar hi mar jata hai logon ka ye kahna hai kawwa bahut syana hai itne mein ek lomad aaya ped ke niche aa kar bola ladte ho kuchh sharm karo lahje apne narm karo allah allah kiya karo us ka nam hi liya karo main tum ko samjhata hun phir se dost banata hun jaldi se tum niche aao aa kar mujh se hath milao donon ped se niche aae ladne se par baz na aae maut thi un ke sar par aai lomad ne ek jast lagai gardan se donon ko pakda aur apne panjon mein jakda dawat us ne khub udai apne pet ki aag bujhai bari bari un ko khaya donon ko ek sabaq sikhaya ladna bachcho kaam bura hai ladne ka anjam bura hai