ek kachhwe ke aa gai ji mein kijiye sair o gasht khushki ki ja raha tha chala hua khamosh us se nahaq ulajh pada khargosh miyan kachhwe! tumhaari chaal hai ye ya koi shamat aur wabaal hai ye yun qadam phunk phunk dharte ho goya uttu zamin pe dharte ho kyun hue chal ke muft mein bad-nam be-chale kya atak raha tha kaam tum ko ye hausla na karna tha chullu pani mein dub marna tha ye tan-o-tosh aur ye raftar aisi raftar par khuda ki mar bola kachhwa ki hon khafa na huzur main to hun aap mo'tarif ba-qusur agar aahistagi hai jurm-o-gunah to main khud apne jurm ka hun gawah mujh ko jo sakht sust farmaya aap ne sab durust farmaya mujh ko ghafil magar na jaaniyega banda-parwar bura na maniyega yun zabani jawab to kya dun shart bad kar chalo to dikhla dun tum to ho aaftab mein zarra par mita dunga aap ka ghurra sun ke khargosh ne ye talkh jawab kaha kachhwe se yun zi-ru-e-itab tu kare meri ham-sari ka khayal teri ye tab ye sakat ye majal chyunti ke jo par nikal aae to yaqin hai ki ab ajal aae are bebak! bad-zaban munh-phat tu ne dekhi kahan hai daud jhapat jab main tezi se jast karta hun shahsawaron ko past karta hun gard ko meri baad-e-pa na lage lakh daude mera pata na lage rail hun barq hun chhalawa hun main chhalawe ka balki bawa hun teri meri nibhegi sohbat kya aasman ko zamin se nisbat kya jis ne bhugte hon turki o tazi aaise mariyal se kya bade bazi baat ko ab ziyaada kya dun tul khair karta hun teri shart qubul hai munasib ki imtihan ho jae taki aib o hunar ayan ho jae al-gharaz ek maqam thahra kar hue donon harif garm-e-safar bas-ki zoron pe tha chadha khargosh tezi phurti se yun badha khargosh jis tarah jae top ka gola ya gire aasaman se ola ek do khet chaukdi bhar ke apni chusti pe aafrin kar ke kisi goshe mein so gaya ja kar fikr kya hai chalenge susta kar aur kachhwa gharib aahista chala sine ko khak par ghista sui ghante ki jaise chalti hai ya ba-tadrij chhanw dhalti hai yunhi chalta raha ba-istiqlal na kiya kuchh idhar udhar ka khayal kaam karta raha jo pai-dar-pai kar gaya rafta rafta manzil tai haif khargosh rah gaya sota samra ghaflat ka aur kya hota jab khuli aankh to sawera tha sakht sharmindagi ne ghera tha sabr o mohabbat mein hai sar-afraazi sust kachhwe ne jit li bazi nahin qissa ye dil-lagi ke liye balki ibrat hai aadmi ke liye hai sukhan is hijab mein ru-posh warna kachhwa kahan kahan khargosh