hum shorida kadwe talkh kasile zaiqe raat ki pur-shahwat aankhon se tapke taza qatre sham ke kale siyah mathe ki nangi makhruti kharish dopahron ke jalte gosht ki tez bisand raat ki kali ran se bahta andha lawa khalij ki gahrai se bahar aata qadam qadam par khauf tabahi dahshat paida karta bikhar raha hai raaton ki sayyal malamat apni lambi zulf bikhere kadwe mausam ke jashnon mein nach rahi hai kadwe talkh kasile zaiqon ke in jashnon mein gardan tak main pighal gaya hun mathe par in shorida jashnon ki mohren sabt hui hain kadwe zaiqe jonken ban kar talu se ab chimat gae hain tez aur tund tezabi suraj hanpte aur karahte sard makanon ki mutwarrim chikhen mutwarrim sanson mein surkh tashaddud ki chikhen mere kan mein surkh tashaddud ki chikhon ki chhawniyan aabaad hui hain hum shorida kadwe talkh kasile zaiqe nau-zaida shahron ke munh pe qatra qatra tapak rahe hain