dekho amman kaisi achchhi hai meri kaghaz ki naw le chala hai sath us ko meinh ke pani ka bahaw band kar deta na main sab mohriyon ke munh agar kis tarah pani se bhar jata bhala phir sara ghar meri kashti tum zara dekho to ek chakkar mein hai go ki dariya mein hai lekin phir bhi ghar ke ghar mein hai machhliyan is waste aangan ke dariya mein nahin dar ke meri naw se sari ki sari chhup gain achchhi amman ab mujhe dariya mein jaane do zara apni kashti ko mujhe khud hi chalane do zara jaunga main jab kashti sambhaale dekhna tum kahogi mere nanhe naw wale dekhna main kahunga meri amman kis tarah dekhun udhar kya karunga naw raste se bhatak jae agar dhyan bat jae to kashti dub jaegi zarur baith kar kis chiz mein phir jaungi main dur dur achchhi amman ab mujhe dariya mein jaane do zara apni kashti ko mujhe khud hi chalane do zara dekh lena tum ki is dariya mein dubunga na main achchhi amman der tak pani mein khelunga na main