aur kuchh der mein lut jaega har baam pe chand aks kho jaenge aaine taras jaenge arsh ke dida-e-namnak se bari-bari sab sitare sar-e-khashak baras jaenge aas ke mare thake haare shabistanon mein apni tanhai sametega, bichhaega koi bewafai ki ghadi, tark-e-madaraat ka waqt is ghadi apne siwa yaad na aaega koi tark-e-duniya ka saman khatm-e-mulaqat ka waqt is ghadi ai dil-e-awara kahan jaoge is ghadi koi kasi ka bhi nahin rahne do koi is waqt mile ga hi nahin rahne do aur mile ga bhi is taur ki pachhtaoge is ghadi ai dil-e-awara kahan jaoge aur kuchh der thahar jao ki phir nashtar-e-subh zakhm ki tarah har ek aankh ko bedar kare aur har kushta-e-wamandgi-e-akhir-e-shab bhul kar saat-e-darmandagi-e-akhir-e-shab darmandagi aakhir shab jaan pahchan mulaqat pe israr kare
This is a great awara dil shayari. True lovers of royal thakur shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore bichadna shayari photo. Please share if you liked this!!!