kahaniyon se bhara ashtray

kaun hai wo shakhs jo dhage se
afsana bun raha hai aur sharab ki mahak

kamre mein taliyan pit rahi hai
aish-tray kirdaron se bhar gai hai

aur dhuan katahre mein khada
hamare haq mein gawahi de raha hai

kothe ke darwaze hanp rahe hain ki
tawaif ki ubhri chhatiyon ke pichhe

ek shakhs panah-guzin hai jis ki ainak
ke par se jismon ka har hissa numayan

hota hua dikhai deta hai
zarb-ul-amsal apne chehre par make-up

kar rahi hain aur wo zakhm bhi chhup
rahe hain jo kabhi bhare nahin the

sard jazbon mein gosht thanda ho raha hai
aur tahzib kisi kothe par barahna ho kar ja baithi hai

naya aadmi nai kahani ki daryaft hai
aur nai kahani bhadwon ki purani boli hai

kharid lo jism ka mahall-e-waqua aur
ubur kar jao utre hue libas ko

ki haiz ka khun ek dagh hai jise
shahar ka har shakhs apne daman par sajae

shorafai ke bilkul pas se guzar raha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close