daftar mein daftar se bahar bhid mein nind mein doston ki mahfilon mein dushmanon ki sohbaton mein chae ki pyali par qahqahon mein chahchahon mein har lamha har aan tumhaare chehre se judi talkh aab yaadon ki pyas mere zehn ke sahra mein ret ki taraf udti hai aise mein mujhe gharnata ke khana-ba-doshon ka ek git yaad aata hai lo tum bhi suno git kuchh is tarah hai ek aise shakhs ko pyar karna jo tumhein na chahta ho pyar hai ek aise shakhs ko pyar karna jo tumhein bhi chahta ho karobar hai aur aisa to har koi kar sakta hai kaho git kaisa laga