laraz laraz kar damak rahe hain magar jab aaega din ka chita aur un sitaron ka waqt bita to aasman ke nukile jugnu banenge pal mein dhalakte aansu sahar ke parde mein ja chhupenge main aur tu aaj hain ikatthe suna rahi hai teri jawani mujhe mere ishq ki kahani magar hai ek khauf sa faza mein hai ek larzish si is hawa mein sitare ab timtima rahe hain khizan ke aasar chha rahe hain mujhe ye mahsus ho raha hai ki ab sitaron ka waqt bita bas ab to aaega din ka chita ab aasman ke nukile jugnu ye dast-e-anjum ke pyare aahu sahar ke parde mein ja chhupenge