kaifiyat

ai nigah-e-mast apna sa hi mastana bana
mai bana de ruh ko aur jaan ko paimana bana

kaif-o-masti ka bana de jam dast-e-shauq mein
lut le jo mai-kada wo pir-e-mai-khana bana

faiz par tere nigah-e-faiz hai ye munhasir
jis ko chahe jaise chahe apna diwana bana

khud se begana bana de kaif-o-masti chhin le
lau mein sham-e-ishq ki jal jaun parwana bana

muntashir kar de bana kar har taraf apni mahak
mere afsane ko afsanon ka afsana bana

fasla rakh utna apne aur mere darmiyan
koi na samjhe ki kis ka kaun diwana bana

samne aaun tere to kapkapate hont hon
tarz-e-minnat ko meri tu taur-e-tiflana bana

jaan-o-tan se ruh ke rishton ki wusat dekh li
dil mera pahlu mein rah kar mujh se begana bana

kitna ai saqi-e-mai-khana tera mamnun hun
lutf se tere hi mera azm rindana bana

phunk de ek ruh jaan-o-tan mein apne ishq ki
ye na puchh 'ashraf' se kaise tera diwana bana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close