kal hum ne sapna dekha hai jo apna ho nahin sakta hai us shakhs ko apna dekha hai wo shakhs ki jis ki khatir hum is des phiren us des phiren jogi ka bana kar bhes phiren chahat ke nirale git likhen ji mohne wale git likhen dharti ke mahakte baghon se kaliyon ki jholi bhar laen ambar ke sajile mandal se taron ki doli bhar laen han kis ke liye sab us ke liye wo jis ke lab par tesu hain wo jis ke nainan aahu hain jo khar bhi hai aur khushbu bhi jo dard bhi hai aur daru bhi wo allhad si wo chanchal si wo shaer si wo pagal si log aap-hi-ap samajh jaen hum nam na us ka batlaen ai dekhne walo tum ne bhi us nar ki pit ki aanchon mein is dil ka tina dekha hai? kal hum ne sapna dekha hai