kalid-e-rahmat

tapti hui zamin par
allah ka jo ghar hai

wo markaz-e-nazar hai
ek roz yun hua tha

usman ibn-e-talha
us khana-e-khuda mein

sarkar-e-do-jahan ko
jaane se rokte the

ek aisa din bhi aaya
sarkar-e-do-jahan jab

makka ko fath kar ke kabe pahunch chuke the
dast-e-nabi mein us dam

kabe ki kunjiyan thin
usman ibn-e-talha sharminda sar jhukae

hairan se khade the
us roz yun hua tha

us fakhr-e-do-jahan ne
ka'ba ki kunjiyon ko

bakhsha unhen bula kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close