ek pazhmurda din jab raat ki dahliz par unghne lagta hai tab hi tariki ka sail-e-rawan use baha le jata hai nason se himmat ka ek ek qatra nichod jata hai aur zamin par maut ka sannata hayat ki halchal rehn rakh leta hai magar qadir-e-mutlaq ai khuda-e-wahid us waqt bhi tu jag raha hota hai main lamhati maut ki chadar hata kar sajda-rez hona chahti hun magar thaka hua din mujhe tariki se nikalne ka rasta nahin deta aur meri bandagi naqis aur adhuri rah jati hai agli subh hum ek bar phir apni apni hayat ke bache-kuchhe lamhat mujtama karte hain himmat ka sud chuka kar khud ko aazad karaate hain aur din ki raushni ke izhdiham mein kar-e-abas mein bah kar phir tujh se dur ho jate hain