karachi ka mawasalati mushaira

ahl-e-adab ne phir ye kiya tajraba naya
shaer mawasalat ki duniya pe chha gaya

mirrikh par mushaera kar lo ki moon par
hum to ab apne sher sunaenge phone par

shaer idhar hai, sadr udhar, samain udhar
main phunk marta hun to bajti hai bin udhar

dulha ko fasle pe rakha hai baraat se
matlab ye hai ki dur raho shaeraat se

america se ghazal jo padhi hum ne lahr mein
gunji hai us ki dad karachi ke shahr mein

sheron mein aa gaya hai jo maghrib ka rang-e-khas
mahsus ho raha hai ki shaer hai be-libas

kis haal mein kalam-e-balaghat hua ata
shaer hai bath-room mein same ko kya pata

be-shak mawasalati qadam inqilabi hai
atke jahan pe kah diya fanni kharabi hai

shaer ne sher arz kiya rampur se
misra utha diya hai kisi ne qusur se

shaer ne jab bayaz nikali jahaz mein
gunji hain wah-wa ki sadaen hijaz mein

rocket ki tarah sher gire samain par
shaer hai aasman pe tabahi zamin par

pahle ye hukm tha ki dalael se sher padh
aur ab ye kah rahe hain mobile se sher padh

kahte the pahle sher ko misra utha ke padh
aur ab ye kah rahe hain ki dael ghuma ke padh

kahne lage burai ko dozakh mein jhonk de
maik se dur hai to receiwer mein bhunk de

jab dad mil rahi thi mujhe samain se
ek sher lad gaya tha kisi mah-jabin se

main ne jo faslon ki ye diwar pat di
sadr-e-girami ne meri line hi kat di


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close