hamare karmon ka phal hamare samne hai bhai neki karna pap hai tum ne nahin suna ki ye agle waqton ki baat hai tum ko duniya mein rahne ka dhab kab aaega jangali sare nate khushbuon ki tarah nahin hote in mein daldalon ki bisand bhi hoti hai muaf karna ya muafi mangna koi achchha feal nahin hai muafi bhala kis kis baat ki umr sari guzar jaegi aur ek baat ki talafi bhi na ho paegi phir tez raftar duniya mein kis kis ka daman pakdoge daman to khud hawa ho gaya hai phir hawa ko mutthi mein band karo nahin bakwas tum sidhi-sadi zindagi guzaro ummid ko kali sandal se itna maro ki surkh chandni kali siyah raat ki tarah hamare dukhon ko apne daman mein samet le