pani mein aks dekha jangal mein raqs dekha suraj libas pahne chanda se ziyaada thanda us raat aaine mein ek aisa shakhs dekha chandni ke rath par saj ke us shakhs ki sawari ab ho rahi hai dekho su-e-ufuq rawana ab laegi wahan se kuchh dard ka khazana un manzaron se hat ke jharne ke shor-o-shar mein hum ne nahate dekhi ek hur be-hijabi chandni ke bahr o bar mein kartik ki khwab-naki aankhon ke do-jahan tak katik ki chandrmai sapnon ke la-makan tak ai la-makan makani sun ke sada kisi ki jun pichhe mud ke dekha wan dur koh-e-dil ki nam nam si lakdiyon ka birhan sa khub-surat choti pe ek makan tha lekin wo jal raha tha katik ki chandni mein!