ganga ki chhati par sar rakh kar nai kuchh der jakde banaras ke budhe nakhunon aur jhurriyon ne chipchipati chamdi wale hathon ko chhu kar yun laga ki tum wahi ho jo main hun aur ye meri jagah hai main hun manikarnika aur tum mere kashi ye jo ganga hai na isi mein bahte bahte hum ek kinare mile the kabhi aur hamesha ke liye ek ho gae ye ganga hi sakshi hai ganga hi rishta yahi prem bhi sutr bhi ye hai hum ganga ke kankar ganga ki aulad aur isi mein moh moksh bhi isi mein main manikarnika tum mere kashi