kasila zaiqa

ba-yak-jumbish
meri aankhon ko patthar kar diya jis ne
wo khanjar kash
sine mein mere paiwast ho jata
rawan hai
waqt ki saffak mehrabon ke niche
nahr-e-khun-basta
sisakti chikhti tanha sadaon ki
main ab kis ke liye
ghar ke khandar mein khwab ghar ke dekhta jaun
zaban par hai kasila zaiqa tanbe ke sikke ka
kahan tak har kisi ke samne kashkol phailaun
This is a great kash wo pal shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close