dekhte rahna kali raat aur tez hawa ke chehron se ek na ek din ped ka saya dar jaega ye jo apne aage-pichhe sat samundar rahte hain jaante ho na un ka ek hi maqsad hai un ke hathon par ye khushki yunhi baqi rah jae sat samundar kali-raat aur tez hawa mausam ke hathon pe nauha likhte hain bahri qazzaqon ke dil mein gahre nile pani ka to khauf nahin lekin wo bhuke baglon se darte hain ye dil tera mera dil mazi haal aur mustaqbil ke lafzon ke erab to apne dushman hain hum donon ko marne se pahle to aakhir is ka faisla karna hai katbon ke matruk alfaz kahan jaen