aaj main khud se bahut dur nikal aaya hun apne jazbon se pare apne khayalon se pare apni yaadon ki wirasat se pare aaj main khud se bahut dur nikal aaya hun dur itna ki jahan koi nahin dur talak koi hamdard nahin koi bhi dam-saz nahin sirf tute hue rishton ki sulagti hui ret meri aankhon ke samundar ki taraf udti hai dur tak gum-shuda lamhat ki qabron pe udasi ke diye jalte hain koi rasta koi manzil na kisi samt safar ka imkan wapsi ki sabhi rahen masdud sirf ek jhuti ana hai jo nae khwab dikhati hai mujhe khwab aise jinhen tabir se dar lagta hai khwab aise jinhen bite hue lamhat ki sachchai se khauf aata hai aaj main khud se bahut dur nikal aaya hun phir bhi lagta hai koi mujh ko pukare to palat jaun main apne jazbon ki taraf apne bite hue lamhon ki taraf apni taraf apne badan mein wapas