Khaali bore mein zaKHmi billa

jaan-mohamad-khan
safar aasan nahin
dhan ke is khali bore mein
jaan ulajhti hai
pat-san ki mazbut salakhen dil mein gadi hain
aur aankhon ke zard katoron mein
chand ke sikke chhan-chhan girte hain
aur badan mein raat phailti jati hai
aaj tumhaari nangi pith par
aag jalae kaun
angare dahkae kaun
jidd-o-johd ke
khunin phul khilae kaun
mere shola-gar panjon mein jaan nahin
aaj safar aasan nahin
thodi der mein ye pagdandi
tut ke ek gande talab mein gir jaegi
main apne tabut ki tanhai se lipat kar
so jaunga
pani pani ho jaunga
aur tumhein aage jaana
ek gahri nind mein chalte jaana hai
aur tumhein is nazar na aane wale bore
apne khali bore ki pahchan nahin
jaan-mohamad-khan
safar aasan nahin
This is a great aamir khan shayari in sarfarosh. True lovers of feeling bored shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this shayari for pehli mulakat is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close