(sachche logon ke nam) ajib man ho tum apne bachchon ko marti ho to is khata par ki wo hukumat ki wahshaton ke khilaf nikle julus ke sath ja rahe the tum ab pareshan ho rahi ho main aane wali ghadi ke bare mein sochta hun jab ek mausam kai kai sal tak rahega tum apne hathon se mere shane hila hila kar kahogi bahar nikal ke un kafiron ko roko jo apne jismon mein andha hijaan bhar ke sadkon pe chikhte hain rabb-e-mausam july sar pe hai aur kohra hamare jismon mein aur faslon ke rongton mein utar raha hai hamein july mein january ki fazaen manzur kis tarah hon hamare zehnon mein rut ki tabdiliyon ke khake bane hue hain ab tum pareshan ho rahi ho main guzre waqton ki aahaten sun raha hun jab main ne ye kaha tha ki bachche tum pe gae to aaram se rahenge magar jo warse mein meri sochen milen to wada karo ye shikwa nahin karogi ki mere bachche jinhen kai mah main ne apna lahu diya tha wo us lahu ko ujad sadkon ke munh pe malne pe tul gae hain