ye kis ne mere jism ki tarikh ulat di? sanson ki zamin par, ek khoi hui saat-e-mismar ke katbe! raftar ke guftar ke izhaar ke katbe! be-khwab sitaron pe jiye ja raha hun main na-paid samundar ko piye ja raha hun main sadiyon ke kai rang jo tahlil hain mujh mein jiddat ki daradon se tapakte hain abhi tak na-paid samundar se chhalakte hain abhi tak be-khwab sitaron mein chamakte hain abhi tak ruhon ke junun mein, mahdud sukun mein, katbe ubhar aae hain mere khun ki tadap se mujh mein mere ajdad bhatakte hain abhi tak