lo main ne qalam ko dho dala lo meri zaban par tala hai lo main ne aankhen band kar lin lo parcham sare bandh liye naron ko gale mein ghont diya ehsas ke tane-bane ko phir main ne hawale dar kiya is dil ki kasak ko man liya ek aakhiri bosa dena hai aur apne larazte hathon se khanjar ke hawale karna hai lo main ne qalam ko dho dala lo meri zaban par tala hai ilzam ye aayad tha mujh par har lafz mera ek nashtar hai jo kuchh bhi likha jo kuchh bhi kaha wo desh-wirodhi baaten thin aur hukm kiya tha ye sadir tahzib ke is gahware ko jo meri nazar se dekhega wo ek mulzim kahlaega lo main ne qalam ko dho dala lo meri zaban par tala hai jo ishq ke naghme gaega jo pyar ki bani bolega jo baat kahega giton mein jo aag bujhane utthega jo hath jhatak de qatil ka wo ek mujrim kahlaega lo main ne qalam ko dho dala lo meri zaban par tala hai khamosh hun main sannata hai kyon sahme sahme lagte ho har ek zaban par tala hai kyon sahme sahme lagte ho lo main ne qalam ko dho dala lo meri zaban par tala hai han sannate ki gunj suno hain lafz wahi andaz wahi har zalim jabir har qatil is sannate ki zad par hai khamoshi ko khamosh karo ye baat tumhaare bas mein nahin khamoshi to khamoshi hai gar phail gai to phail gai