dar-haqiqat khamushi mearaj hai guftar ki is se behtar koi bhi surat nahin izhaar ki ho gai hai nutq ki har har ada jab be-asar main ne dekha hai tilism-e-khamushi ko kargar khamushi aise bhi lamhon ki kahani kah gai jin mein goyai pashemani utha kar rah gai