isi udas khandar ke udas tile par jahan pade hain nukile se surmai kankar jahan ki khak pe shabnam ke haar bikhre hain shafaq ki narm kiran jis pe jhilmilati hai shikasta inton pe makdi ke jal hain jis ja yahin pe dil ko nae dard se do-chaar kiya kisi ke panw ki aahat ka intizar kiya isi udas khandar ke udas tile par ye nahr jis mein kabhi lahr bhi uthi hogi jo aaj dida-e-be-ab-o-nur hai goya jise hubab ke rangin qumqume na mile bajae mauj jahan sanp raqs karte the yahin nigah-e-tamanna ko ashk-bar kiya kisi ke panw ki aahat ka intizar kiya isi udas khandar ke udas tile par muhib-e-ghaar ke kone pe ye jhuka sa darakht faza mein latki hui khokhli jaden jis ki ye tahniyan jo hawaon mein thartharaati hain bata rahi hain ki mazi ki yaadgar hain hum unhin ki chhanw mein sham-e-junun se pyar kiya kisi ke panw ki aahat ka intizar kiya isi udas khandar ke udas tile par