silsile khwab ke gumnam jaziron ki tarah sina-e-ab pe hain raqs-kunan kaun samjhe ki ye andesha-e-farda ki fusun-kari hai mah o khurshid ne phenke hain kai jal idhar tirgi gesu-e-shab-tar ki zanjir liye mere khwabon ko jakadne ke liye aai hai ye tilism-e-sahr-o-sham bhala kya jaane kitne dil khun hain angusht hinai ke liye kitne dil bujh gae jab ru-e-nigaran mein chamak aai hai khwab hain qaid-e-makan qaid-e-zaman se aage kis ko mil sakta hai udte hue lamhon ka suragh kitni sadiyon ki masafat se ubharta hai khat-e-rah-guzar