roz-o-shab rahta hai mujh ko un ke khat ka intizar kis tarah bahlaun dil ko kis tarah paun qarar dar pe bandhe tuktuki main dekhti hun bar bar pas mere aaj shayad aaega paigham-e-yar pa ke aahat nama-bar ki kuchh sukun pati hun main ek hayat-e-nau mujhe milti hai khil jati hun main dur hoti hai tadap kafur ho jati hai yas dekhti hun shauq ki nazron se apni aas-pas nama kya aaya ki goya aa gae wo mere pas phul jati hun masarrat se badalti hun libas padhti rahti hun main pahron ant kuchh mata nahin dard-o-gham ki dastan bhi khatm hoti hai kahin khat ko aankhon se laga kar chumti hun dam-ba-dam taki qalb-e-muztarib ki sari betabi ho kam tolti hun harf sare ishq ki mizan mein aur samo leti hun un ka husn apni jaan mein