khatib-e-azam arab ka naghma ajam ki lai mein suna raha hai sar-e-chaman chahchaha raha hai sar-e-wigha muskura raha hai hadis-e-sarw-o-saman nichhawar zaban-e-shamshir is pe qurban musailama aise jal-sazon ki bekh o buniyaad dha raha hai qurun-e-ula ki razm-gahon se murtaza ka jalal le kar dabiz ninden jhinjhodta hai mujahidon ko jaga raha hai hain us ki lalkar se hirasan mohammad-e-mustafa ke baghi wafa ke jhande gade hue hain ghanim par dandana raha hai main us ke chehre ki muskurahat se aisa mahsus kar raha hun ki jaise kausar pe sham hote koi diya jhilmila raha hai wo mard darwesh jis ko haq ne diye hain andaz-e-khusrawana usi ki surat ko tak raha hai safar se lauta hua zamana
This is a great muskurahat shayari wallpaper. True lovers of mohammad ki shayari me will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore muhammad mustafa shayari. Please share if you liked this!!!