main december ki thand mein aksar pahan leta hun us sweater ko wo sweater kabhi jise tu ne apne hathon se mere liye buna tha wo sweater ki jis ke har ek phande mein tu ne apne lams ko apne pyar ke sath bun kar mujhe saunp diya tha ki main use zeb-tan kar lun aur dur hote hue bhi main tujh se tere bilkul qarib ho jaun wo sweater jo ek zariya tha tere mere qarib hone ka teri furqat tere visal mein main zeb-tan karta tha use aksar lekin is bar ke december mein thand bhi hai aur tera firaq bhi hai magar na jaane kyon mujhe ye khauf khae jata hai ki wo sweater jo kabhi qurbaten badhata tha fasle mitata tha tujh se mujhe aur dur na kar de rone ko majbur na kar de