hotel mein kal gae to ye socha ki khaen kya begam se hum ne puchha ki bolen mangaen kya bolin sikhane ke liye kya ye kaniz hai hotel mein aa gae hain magar kuchh tamiz hai hotel ka ehtiram karen kuchh adab karen lazim hai sab se pahle to meinu talab karen ungli ke ek ishaare se waiter bhi aa gaya meinu jo hath mein tha wo mujh ko thama gaya meinu ko apne samne phir main ne rakh liya begam ne itni der mein ketchup hadap kiya chashma laga ke meinu ko jab ghaur se padha har ek shai ka dam mujhe to laga chadha begam ko padh ke meinu sunana tha lazmi ye silsila chalana tha aage hansi-khushi puchha shurua salad se hum kar len bhagwan bolin kachar-kachar se pakaenge mere kan main ne kiya jo dal-fry ka kuchh bayan bolin ki main to aap se khasi thi khush-guman thodi bahut karele se raghbat hai aap ko kahne lagin ki sujhi shararat hai aap ko jab ye kaha ki bhindi yahan ki laziz hai bolin bhala batao wo khane ki chiz hai phir main ne zikr chheda jo palak-panir ka tadpin wo jaise sher padha main ne 'mir' ka bolin ki jaante nahin tibbi muamlat phathri ka khauf rahta hai khane se sag pat main ne kaha ki gobhi matar kha ke dekh len bolin ki aisi chizon se parhez hi karen biryani ka jo zikr kiya ehtimam se tan-man mein un ke aag lagi is kalam se farmaya ho chikan ki mutton ki ya beef ki tarif mat karo kisi jins-e-latif ki main ne kaha yahan hai bihaari kabab bhi bolin ki beef karta hai meada kharab bhi bolin nali nahaari ka sun kar hai la-jawab cholesterol badhta hai lekin mere janab main ne kaha kadahi mutton aur chikan ki hai khurak aaj-kal yahi har mard-o-zan ki hai bolin ki mirch tez na ho to maza nahin aur tez mirch khane ka ab hausla nahin puchha bataiye to sahi donon khaen kya meinu pada hai samne bolen mangaen kya bolin uthen yahan se mera hai ye mashwara chalte hain chal ke khate hain burger kisi jagah