KHayal-e-abru

khayal-e-abru
ab kya khayal-e-abru

bhid mein aan baithe
ab kya sawal-e-did aur kaisa hijab

bas janab
jati hawa se kis liye sar ki rida bachaiye

dekhiye muskurai hai
ek nigah-e-ishtiyaq

hosh mein aaiye huzur
aap bhi muskuraiye

dekh ke yan barahna-sar
kaun hai jo malul ho

haif hai ab bhi sher ki
dad na gar wasul ho

chhod bhi dijiye 'abir'
kahe ki parda-dariyan

shahar se uth gain huzur
pahli si waza-dariyan

aap bhi to badal gain
ji mazarat qubul ho

koi na sath roega
kyon sar-e-am roiye

sher ki aabru gai
kyon na mudam roiye

achchhi lagi tamash-gah
dekhiye khat uthaiye

roiye
roe jaiye

ab kya khayal-e-abru
bhid mein aan baithiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close