KHayal-e-KHatir-e-ahbab

salam mere rafiqon ko ham-nashinon ko
sapat chehron ko be-mehr-o-lutf sinon ko
koi habib-e-masarrat na koi munis-e-gham
na dil mein josh na yara-e-dard sinon ko
koi farogh na koi numu ki yaron ne
rakha hai kar ke musattah tamam zinon ko
mila na haif! ghul-arai ka mizaj kabhi
mere khulus ke khirman ke khosha-chinon ko
falak ne zinat-e-nisyan bana ke chhod diya
rusum-e-lutf ko dil-jui ke qarinon ko
gharaz ki tund hawaon ne kar diya banjar
wafa ki kisht ko isar ki zaminon ko
shikasta kar diya badli nazar ke tufan ne
khud-e'timadi ke dhaale hue safinon ko
nazar mein kaj-nigahi lab pe maslahat-goi
khutut-e-rukh ne ubhaara hai dil ke kinon ko
khilaf-e-waza ho bhule se gar ye sher-e-'anis'
sunae 'saz' koi mere ham-nashinon ko
khayal-e-khatir-e-ahbab chahiye har dam!
'anis' thes na lag jae aabginon ko!
This is a great salam e subah shayari. True lovers of habib jalib inqilabi shayari will love this. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close