KHayalon ke sweater

ghataen aaj badhti ja rahi hain
dikhane parbaton ko roab apna

hawaon ko bhi sath apne liya hai
khade hain tan kar sine ko parwat

ek dusre ka hath thame
ki ab gherao pura ho gaya hai

garajne lag gai hai kali badli
sunahre parwaton ke rang phike padh gae hain

matmaili hui jati hai ujli ujli pundir
wahin kuchh dur pali bastiyon mein

lal pile nile ujale ho gae hain
ki jaise kali kali chunniyon par

koi sitaron ki kadhai kar gaya ho
dariche se main baitha dekhta hun

ki duniya shant hoti ja rahi hai
ki jaise budh ka wardan ho ye

aur main apne zehn mein khayalon ke sweater bun raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close