be-jhijak, be-khatar be-dhadak war kar meri gardan uda aur khun se mere kaamyabi ke apni nae jam bhar chhin le husn-o-khubi, ana, dilkashi mere lafzon mein lipta hua mal-o-zar meri poron se bahti hui raushni mere mathe pe likkhe hue sab hunar tujh se shikwa nahin ai adu mere main teri hamdard hun teri be-chehragi mujh ko bhati nahin tujh se kaise kahun!!! tujh se kaise kahun! qatl karna mujhe tere bas mein nahin (aur ho bhi agar, teri kam-maegi ma mudawa nahin) han magar teri dil-jui ke waste meri gardan pe yun tera khanjar rahe (teri danist mein) khel jari rahe