aao kahin se thodi si mitti bhar laen mitti ko baadal mein gundhen nae nae aakar banaen kisi ke sar pe chutiya rakh den mathe upar tilak sajaen kisi ke chhote se chehre par moti si dadhi phailaen kuchh din in se ji bahlaen aur ye jab maile ho jaen dadhi choti tilak sabhi ko tod-phod ke gad-mad kar den mili-juli ye mitti phir se alag alag sanchon mein bhar den nae nae aakar banaen dadhi mein choti lahrae choti mein dadhi chhup jae kis mein kitna kaun chhapa hai kaun batae