shair sahil-e-dariya pe main ek raat tha mahw-e-nazar gosha-e-dil mein chhupae ek jahan-e-iztirab shab sukut-afza hawa aasuda dariya narm sair thi nazar hairan ki ye dariya hai ya taswir-e-ab jaise gahware mein so jata hai tifl-e-shir-khwar mauj-e-muztar thi kahin gahraiyon mein mast-e-khwab raat ke afsun se tair aashiyanon mein asir anjum-e-kam-zau giraftar-e-tilism-e-mahtab dekhta kya hun ki wo paik-e-jahan-paima khizr jis ki piri mein hai manind-e-sahar rang-e-shabab kah raha hai mujh se ai juya-e-asrar-e-azal chashm-e-dil wa ho to hai taqdir-e-alam be-hijab dil mein ye sun kar bapa hangama-e-mahshar hua main shahid-e-justuju tha yun sukhan-gustar hua ai teri chashm-e-jahan-bin par wo tufan aashkar jin ke hangame abhi dariya mein sote hain khamosh kashti-e-miskin-o-jaan-e-pak-o-diwar-e-yatim ilm-e-musa bhi hai tere samne hairat-farosh chhod kar aabaadiyan rahta hai tu sahra-naward zindagi teri hai be-roz-o-shab-o-farda-o-dosh zindagi ka raaz kya hai saltanat kya chiz hai aur ye sarmaya-o-mehnat mein hai kaisa kharosh ho raha hai asia ka khirqa-e-derina chaak naujawan aqwam-e-nau-daulat ke hain pairaya-posh garche askandar raha mahrum-e-ab-e-zindagi fitrat-e-askandari ab tak hai garm nao-nosh bechta hai hashmi namus din-e-mustafa khak-o-khun mein mil raha hai turkaman-e-shakht-kosh aag hai aulad-e-ibrahim hai namrud hai kya kisi ko phir kisi ka imtihan maqsud hai jawab-e-khizr sahra-nawardi kyun tajjub hai meri sahra-nawardi par tujhe ye taga-pu-e-damadam zindagi ki hai dalil ai rahin-e-khana tu ne wo saman dekha nahin gunjti hai jab faza-e-dasht mein bang-e-rahil ret ke tile pe wo aahu ka be-parwa khiram wo hazar be-barg-o-saman wo safar be-sang-o-mil wo numud-e-akhtar-e-simab-pa hangam-e-subh ya numayan baam-e-gardun se jabin-e-jibrail wo sukut-e-sham-e-sahra mein ghurub-e-aftab jas se raushan-tar hui chashm-e-jahan-bin-e-khalil aur wo pani ke chashme par maqam-e-karwan ahl-e-iman jas tarah jannat mein gird-e-salsabil taza virane ki sauda-e-mohabbat ko talash aur aabaadi mein tu zanjiri-e-kisht-o-nakhil pukhta-tar hai gardish-e-paiham se jam-e-zindagi hai yahi ai be-khabar raaz-e-dawam-e-zindagi zindagi bartar az sud-o-ziyan hai zindagi zindagi bartar az andesha-e-sud-o-ziyan hai zindagi hai kabhi jaan aur kabhi taslim-e-jaan hai zindagi tu ise paimana-e-imroz-o-farda se na nap jawedan paiham dawan har-dam jawan hai zindagi apni duniya aap paida kar agar zindon mein hai sirr-e-adam hai zamir-e-kun-fakan hai zindagi zindagani ki haqiqat kohkan kai dil se puchh ju-e-shir-o-tesha-o-sang-e-garan hai zindagi bandagi mein ghat ke rah jati hai ek ju-e-kam-ab aur aazadi mein bahr-e-be-karan hai zindagi aashkara hai ye apni quwwat-e-taskhir se garche ek mitti ke paikar mein nihan hai zindagi qulzum-e-hasti se to ubhra hai manind-e-habab is ziyan-khane mein tera imtihan hai zindagi kham hai jab tak tu hai mitti ka ek ambar tu pukhta ho jae tu hai shamsher-e-be-zinhaar tu ho sadaqat ke liye jis dil mein marne ki tadap pahle apne paikar-e-khaki mein jaan paida kare phunk dale ye zamin-o-asman mustaar aur khakistar se aap apna jahan paida kare zindagi ki quwwat-e-pinhan ko kar de aashkar ta ye chingari frogh-e-jawedan paida kare khak-e-mashriq par chamak jae misal-e-aftab ta-badakhshan phir wahi lal-e-giran paida kare su-e-gardun nala-e-shab-gir ka bheje safir raat ke taron mein apne raaz-dan paida kare ye ghadi mahshar ki hai to arsa-e-mehshar mein hai pesh kar ghafil amal koi agar daftar mein hai saltanat aa bataun tujh ko ramz-e-aya-e-innal-muluk saltanat aqwam-e-ghaalib ki hai ek jadugari khwab se be-dar hota hai zara mahkum agar phir sula deti hai us ko hukmaran ki sahiri jadu-e-mahmud ki tasir se chashm-e-ayaz dekhti hai halqa-e-gardan mein saz-e-dil-bari khun-e-israil aa jata hai aakhir josh mein tod deta hai koi musa tilism-e-samari sarwari zeba faqat us zat-e-be-hamta ko hai hukmaran hai ek wahi baqi butan-e-azari az ghulami fitrat-e-azad ra ruswa makun ta-tarashi khwaja-e-az-barahman kafir teri hai wahi saz-e-kuhan maghrib ka jamhuri nizam jis ke pardon mein nahin ghair-az-nawa-e-qaisari dew-e-istibdad jamhuri qaba mein pa-e-kub tu samajhta hai ye aazadi ki hai nilam-pari majlis-e-ain-o-islah-o-riayat-o-huquq tibb-e-maghrib mein maze mithe asar khwab-awari garmi-e-guftar aaza-e-majalis al-aman ye bhi ek sarmaya-daron ki hai jang-e-zargari is sarab-e-rang-o-bu ko gulistan samjha hai tu aah ai nadan qafas ko aashiyan samjha hai tu sarmaya-o-mehnat banda-e-mazdur ko ja kar mera paigham de khizr ka paigham kya hai ye payam-e-kaenat ai ki tujh ko kha gaya sarmaya-dar-e-hila-gar shakh-e-ahu par rahi sadiyon talak teri baraat dast-e-daulat-afrin ko muzd yun milti rahi ahl-e-sarwat jaise dete hain gharibon ko zakat sahir-al-mut ne tujh ko diya barg-e-hashish aur tu ai be-khabar samjha use shakh-e-nabaat nasl qaumiyat kalisa saltanat tahzib rang khwajgi ne khub chun chun ke banae muskiraat kat mara nadan khayali dewtaon ke liye sukr ki lazzat mein tu lutwa gaya naqd-e-hayat makr ki chaalon se bazi le gaya sarmaya-dar intiha-e-sadgi se kha gaya mazdur mat uth ki ab bazm-e-jahan ka aur hi andaz hai mashriq-o-maghrib mein tere daur ka aaghaz hai himmat-e-ali to dariya bhi nahin karti qubul ghuncha san ghafil tere daman mein shabnam kab talak naghma-e-bedari-e-jamhur hai saman-e-aish qissa-e-khwab-awar askandar-o-jam kab talak aaftab-e-taza paida batn-e-giti se hua aasman dube hue taron ka matam kab talak tod dalin fitrat-e-insan ne zanjiren tamam duri-e-jannat se roti chashm-e-adam kab talak baghban-e-chaara-farma se ye kahti hai bahaar zakhm-e-gul ke waste tadbir-e-marham kab talak kirmak-e-nadan tawaf-e-shama se aazad ho apni fitrat ke tajalli-zar mein aabaad ho duniya-e-islam kya sunata hai mujhe turk-o-arab ki dastan mujh se kuchh pinhan nahin islamiyon ka soz-o-saz le gae taslis ke farzand miras-e-khalil khisht-e-buniyaad-e-kalisa ban gai khak-e-hijaz ho gai ruswa zamane mein kulah-e-lala-rang jo sarapa naz the hain aaj majbur-e-niyaz le raha hai mai-faroshan-e-farangistan se pars wo mai-e-sarkash hararat jis ki hai mina-gudaz hikmat-e-maghrib se millat ki ye kaifiyyat hui tukde tukde jis tarah sone ko kar deta hai gaz ho gaya manind-e-ab arzan musalman ka lahu muztarib hai tu ki tera dil nahin dana-e-raaz guft rumi har bana-e-kuhana ki-abaadan kunand mi na-dani awwal aan buniyaad ra viran kunand mulk hathon se gaya millat ki aankhen khul gain haq tera chashme ata kar dast-e-ghafil dar nigar momyai ki gadai se to behtar hai shikast mor-e-be-par hajate pesh-e-sulaimane mabar rabt-o-zabt-e-millat-e-baiza hai mashriq ki najat asia wale hain is nukte se ab tak be-khabar phir siyasat chhod kar dakhil hisar-e-din mein ho mulk-o-daulat hai faqat hifz-e-haram ka ek samar ek hun muslim haram ki pasbani ke liye nil ke sahil se le kar ta-ba-khak-e-kashghar jo karega imtiyaz-e-rang-o-khun mit jaega turk-e-khargahi ho ya aarabi-e-wala-guhar nasl agar muslim ki mazhab par muqaddam ho gai ud gaya duniya se tu manind-e-khak-e-rah-guzar ta-khilafat ki bina duniya mein ho phir ustuwar la kahin se dhund kar aslaf ka qalb-o-jigar ai ki na-shinasi khafi ra az jali hushiyar bash ai giraftar-e-abu-bakr-o-ali hushiyar-bash ishq ko fariyaad lazim thi so wo bhi ho chuki ab zara dil tham kar fariyaad ki tasir dekh tu ne dekha satwat-e-raftar-e-dariya ka uruj mauj-e-muztar kis tarah banti hai ab zanjir dekh aam hurriyat ka jo dekha tha khwab islam ne ai musalman aaj to us khwab ki tabir dekh apni khakistar samundar ko hai saman-e-wajud mar ke phir hota hai paida ye jahan-e-pir dekh khol kar aankhen mere aaina-e-guftar mein aane wale daur ki dhundli si ek taswir dekh aazmuda fitna hai ek aur bhi gardun ke pas samne taqdir ke ruswai-e-tadbir dekh muslim asti sina ra az aarzu-abaad dar har zaman pesh-e-nazar la-yukhlif-ul-miad dar