kabhi kabhi mera bachcha sawal karta hai zamin kaise bani hai ye aasman kya hai hua tha chand sitaron ka janm kis san mein ab is ko kaun batae ki ye jahan kya hai ye wo sawal hain jo la-jawab karte hain bade badon ki bhi jin se ki aql ho hairan azal se jin ki haqiqat rahi hai parde mein jinhen samajh na saka koi fazil-e-dauran ye zindagi wo samundar hai jis ke rele mein bahe hi jate hain insan khar-o-khas ki tarah magar hayat ki ranginiyon pe marte hain raqiq shahd mein dubi hui magas ki tarah ajib khel hai duniya ka jis mein gum hai bashar na jaane rabt badhata hai kis liye zar se wo sochta nahin aish us ka rang laega bacha hai kaun jahan mein fana ke khanjar se bura amal ho ki achchha ye sab ko khwahish hai kisi tarah to mile kaif-e-sarmadi hum ko ye baat sochte rahte hain ahl-e-fikr-o-nazar mili hai kis liye aakhir ye zindagi hum ko