khokhle bartan ke hont sada ke khokhle but par wo apni ungliyan ghiste rahenge andhere narkhare se bas hawa ki raft o aamad ka nishan malum hota hai zaban par sabz dhabbe padte jaenge chamakte sabz dhabbon mein thithurte aaine nili duaon ke koi ye un se kah do ki aawazen khadakne ke siwa ya dhaddhadane shor uthne ke siwa taza nahin hotin sada ka dewta apne parinde le ke wapas ja chuka hai