wo kaisi tarik ghadi thi jab mujh ko ehsas hua tha main tanha hun us din bhi sidha-sada suraj nikla tha shahr mein koi shor nahin tha ghar mein koi aur nahin tha amman aata gundh rahi thin abba chaarpai par baithe ungh rahe the dhire dhire dhup chadhi thi aur achanak dil mein ye khwahish ubhri thi main duniya se chhutti le lun apne kamre ko andar se tala de kar kunji kho kar zor se chikhun chikhta jaun lekin koi na sunne pae chaqu se ek ek rag-o-reshe ko katun aur bhayanak sachchai ka dariya phute har kapde ko aag laga dun shoalon mein nange-pan ka sannata kude wo din tha aur aaj ka din hai kamre ke andar se tala laga hua hai kunji gum hai main zoron se chikh raha hun mere jism ka ek ek resha kata hua hai sab kapdon mein aag lagi hai bahar sab pahle jaisa hai koi nahin jo kamre ka darwaza tode koi nahin jo apna khel zara sa chhode