kabhi kabhi main jab apne andar se jhankta hun to mere bahar ki sari duniya mere muqabil khada hua zalimon ka lashkar dikhai deti hai aur main khud ko apne bahar ke aadmi ko ajib si be-talluqi se ek ajnabi ban ke dekhta hun magar wo bahar ka main isi zalimon ke lashkar se hai nabard-azma musalsal kabhi wo zalim pe hamla-awar kabhi wo mazlum ki himayat mein dil-figar o malul o giryan wo mere andar ke main se kahta hai bahar aao fasil dhao hisar todo hamari saf mein tumhein bhi aakhir kabhi to hona padega shamil