mere rukhsar pe jo halki halki jhuriyan aa gai hain yaqinan us ko bhi aa gai hogi zindagi ke safar mein umr ke jis dhalan par main khada hun yaqinan wo bhi wahin aa gaya hoga roz-o-shab ke madd-o-jazr ranj-o-gham aansu-o-khushi sard garm subh-o-sham se ulajhte hue chadhti umr ka wo chulbula-pan jo ab sanjidgi mein dhal chuka hai ain-mumkin hai us ke bhi mizaj ka hissa hoga han ye mumkin hai ghair-mutawaqqe taur pe sar-e-rah agar tum kahin kabhi mil bhi jao to tumhein pahchanna mushkil bhi hoga magar mera dil mujh se kah raha hai mujhe bahla raha hai tum ek roz mujh se miloge aur zarur miloge