KHud-kalami

ek dahai ka arsa bhi
koi arsa hota hai dost

lekin ye bhi sach hai dost
mere baalon mein tu utri

aur phaili hai chandi
lakh chhupana chahun lekin

chughli kha hi jati hai
lal ho ya kali mehndi

umr ki makdi
jhurriyon ke

jale bunti jati hai
yun lagta hai jaise ek dahai bhi koi

ek sadi hoti hai
lekin ye bhi sach hai dost

lams ki khushbu
qurb ki hiddat

yaad ki shama
sab kuchh taza taza hai

yani ruh mein basne walon ko to
hijr ka gham hi zinda rakhta hai

ek dahai chahe guzre
chahe guzre ek sadi

sach to ye hai ab tak tum
mere andar zinda ho

lekin bolo
kya main bhi zinda hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close