han main ne bhi suna hai tumhaare pados mein kal raat ek hadsa-e-qatl ho gaya han main ne bhi suna hai ki ek jam zahr ka do jiwanon ki nannhi si nauka dubo gaya koi dukhi jawan watan apna chhod kar apni sakhi ke sath ek aur des ko gaya duniya ke kharzar mein sau thokaron ke baad yun aakhir un ka qissa-e-gham khatm ho gaya yun tai kiya unhon ne mohabbat ka marhala ek ek ghont aur jo hona tha ho gaya donon ki aankh mein tha ek ek ashk munjamid jo khushk khushk palkon ki noken bhigo gaya kuchh kahne pai thi ki wo khamosh ho gai koi jawab dene ko tha wo ki so gaya paimana-e-ajal ka wo talkhaba is tarah ruhon ke zakhmon sinon ke daghon ko dho gaya aksar yunhi hua hai ki ulfat ka imtihan dushwariyon mein maut ki aasan ho gaya aao na hum bhi tod den is dam-e-zist ko sang-e-ajal pe phod den is jam-e-zist ko